Friday, August 17, 2012

Yeh Bhi Sahi Woh Bhi Sahi

sab kuch apna hi hai, kuch bhi to paraya nahin
sab paraya duniya mein, apna to kuch bhi nahin

yeh desh to apnahi hai, duniya mein to sambandhi sabhi
yeh deh bhi apna nahin, jaana hi hai choD yahi

kamana hai khoobi se aur jina bharpoora sabhi
vyrag se jeena hai sabko ,fhal ki apeksha kada nahin

pyar main doob jana humko, pyar pooja bhagwan ki
moh me na pado he balak, ye bhandan se chooTo abhi

sab choD kar sanyasi bano, daas bano shri charaNon ki
karm is lok ka nibhana hai, palayan to karna nahin

dhyan karo bhagawan ki, chaDado jeevan bhakti mein
mukti sirf uski hai jo, chup chap swamy ki seva mein

Jnyan ki asha mein jeeyo, jnyan hi anth andhere ki
janam janam ki talash hai, is jnyan ki pyas bujhegi kabhi

Diya deep se andhera bhage, Divya jyoti se jagat Ughe
Jalti diya ka kaam hi aisa, khud rakh bane phir jeevan khile.



No comments: