Wednesday, December 26, 2012

....Caravan ka khel

Ek Aur Saal beet gaya
Caravan chal ta hi gaya
Jo Uthara woh choota
Bache sab nikal gaye

Rasta sirf Caravan ki
kab bani thi pata nahin
Chahe jis taraf bhi raah mude
talash hai sirf puranee wahee

Maango jitna bhi tum
na rukegi yeh karvan
chahe jitna bhi  mutthi pakdo
Samay ki reth phisal gayi

khud apna raah banao
banao duniya mein naam
kuch bhi karo baath wahin
jo Is karvan samajh ta ho

Aasman phaad ke nikal pado
ya samay ki dhara badalhi do
Chahe durbin se duniya jhanko
aadmi rahega sirf wahin

Samay ka niyam yehin hai jisko
divya jyothi dikhati hai
Andhera deepak mein yeh aank micholi
Itna hi Karvan ka khel hai